वो सबसे प्यारा सपना है
धूप में चांदनी बरसाता है
साँसों पर है उसकी हुकूमत
सच होने को तरसाता है
अब नींद गुमशुदा नयनो से
पलक झपकते ले जाता है
पुष्पों की दीवारों
मखमल की छत का बना हुआ
वो घर नहीं एक मंजिल है शायद
या किसी फक्कड़ी सिकंदर की आरामगाह
कुछ तो खिचाव है उसमें
नहीं तो मै कहाँ
और मेरा सपना कहाँ
सपने कुछ ना कुछ हकीक़त के लिबास में आते हैं
तभी तो फूलों से बनी वो दिवार जो बहुत कमजोर थी
गिरने के लिए बेताब है
और मुझे मखमल से उतना ही डर है
और मुझे मखमल से उतना ही डर है
एक झोके में सब बिखर तो नहीं जायेगा
हाय ये क्या हो जायेगा
डर रहा हूँ अब तलक
सच्चाई से या सपने से
ये नहीं मालूम
vo sabse pyara sapna hai
dhoop mein chandni barsata hai
saanson mein hai uski huqumat
sach hone ko tarsata hai
ab neend gumshuda nayanon se
palak jhapakte hi le jaata hai
pushp ki diwaaron
makhmal ki chat ka bana hua
vo ghar nahi, ek manzil hai shayad
ya kisi fakkadi ki araamgah
kuch toh khichaw hai usmein
nahi toh mai kaha aur mera sapna kahan
sapne kuch na kuch haqiqat ke libas mein aate hain
tabhi toh foolon se bani vo diwar jo bahut kamjor thi
girne ke liye betaab hai
aur mujhe makhmal se dar hai ki
ek jhoke mein sab bikhar toh nahi jayega
hay ye kya ho jayega
dar raha hoon ab talak
sachchayee se ya sapne se
ye nahi maloom
vo sabse pyara sapna hai
dhoop mein chandni barsata hai
saanson mein hai uski huqumat
sach hone ko tarsata hai
ab neend gumshuda nayanon se
palak jhapakte hi le jaata hai
pushp ki diwaaron
makhmal ki chat ka bana hua
vo ghar nahi, ek manzil hai shayad
ya kisi fakkadi ki araamgah
kuch toh khichaw hai usmein
nahi toh mai kaha aur mera sapna kahan
sapne kuch na kuch haqiqat ke libas mein aate hain
tabhi toh foolon se bani vo diwar jo bahut kamjor thi
girne ke liye betaab hai
aur mujhe makhmal se dar hai ki
ek jhoke mein sab bikhar toh nahi jayega
hay ye kya ho jayega
dar raha hoon ab talak
sachchayee se ya sapne se
ye nahi maloom